shaam ke maskan meñ vīrāñ mai-kade kā dar khulā
baab guzrī sohbatoñ kā ḳhvāb ke andar khulā
kuchh na thā juz ḳhvāb-e-vahshat vo vafā is ahd kī
raaz itnī der kā is umr meñ aa kar khulā
ban meñ sargoshī huī āsār-e-abr-o-bād se
band-e-ġham se jaise ik ashjār kā lashkar khulā
jagmagā uTThā añdhere meñ mirī aahaT se vo
ye ajab us but kā merī aañkh par jauhar khulā
sabza-e-nau-rasta kī ḳhushbū thī sāhil par 'munīr'
bādaloñ kā rañg chhatrī kī tarah sar par khulā