chaman maiñ rañg-e-bahār utrā to maiñ ne dekhā
nazar se dil kā ġhubār utrā to maiñ ne dekhā
maiñ nīm-shab āsmāñ kī vus.at ko dekhtā thā
zamīñ pe vo husn-zār utrā to maiñ ne dekhā
galī ke bāhar tamām manzar badal ga.e the
jo sāya-e-kū-e-yār utrā to maiñ ne dekhā
ḳhumār-e-mai meñ vo chehra kuchh aur lag rahā thā
dam-e-sahar jab ḳhumār utrā to maiñ ne dekhā
ik aur dariyā kā sāmnā thā 'munīr' mujh ko
maiñ ek dariyā ke paar utrā to maiñ ne dekhā