dil ajab mushkil meñ hai ab asl raste kī taraf
yaad pīchhe khīñchtī hai aas aage kī taraf
chhoḌ kar nikle the jis ko dasht-e-ġhurbat kī taraf
dekhnā shām-o-sahar ab ghar ke saa.e kī taraf
hai abhī āġhāz din kā is dayār-e-qaid meñ
hai abhī se dhyān saarā shab ke pahre kī taraf
sub.h kī raushan kiran ghar ke darīche par paḌī
ek ruḳh chamkā havā meñ us ke shīshe kī taraf
dūriyoñ se pur-kashish haiñ manzileñ donoñ 'munīr'
maiñ ravāñ huuñ ḳhvāb meñ nāpaid qarye kī taraf