navāh-e-vus.at-e-maidāñ meñ hairānī bahut hai
diloñ meñ is ḳharābī se pareshānī bahut hai
kahāñ se hai kahāñ tak hai ḳhabar is kī nahīñ miltī
ye duniyā apne phailāv meñ an-jānī bahut hai
baḌī mushkil se ye jaanā ki hijr-e-yār meñ rahnā
bahut mushkil hai par āḳhir meñ āsānī bahut hai
basar jitnī huī bekār o be-manzil zamāne meñ
mujhe is zindagānī par pashemānī bahut hai
nikal aate haiñ raste ḳhud-ba-ḳhud jab kuchh na hotā ho
ki mushkil meñ hameñ ḳhvāboñ kī arzānī bahut hai
bahut raunaq hai bāzāroñ meñ galiyoñ aur mohalloñ meñ
par is raunaq se shahr-e-dil meñ vīrānī bahut hai