zor paidā jism o jaañ kī nā-tavānī se huā
shor shahroñ meñ musalsal be-zabānī se huā
der tak kī zindagī kī ḳhvāhisheñ us but ko haiñ
shauq us ko intihā kā umr-e-fānī se huā
maiñ huā nākām apnī be-yaqīnī ke sabab
jo huā sab mere dil kī bad-gumānī se huā
hai nishāñ merā bhī shāyad shash-jihāt-e-dahr meñ
ye gumāñ mujh ko ḳhud apnī be-nishānī se huā
thā 'munīr' āġhāz hī se rāsta apnā ġhalat
is kā andāza safar kī rā.igānī se huā