Muneer Niyazi

Dar ke kisi se chhup jata hai jaise sanp KHazane mein

Muneer Niyazi

Hoshiarpur, Punjab, India

1923-2006
Dar ke kisī se chhup jaatā hai jaise saañp ḳhazāne meñ
zar ke zor se zinda haiñ sab ḳhaak ke is vīrāne meñ
jaise rasm adā karte hoñ shahroñ kī ābādī meñ
sub.h ko ghar se duur nikal kar shaam ko vāpas aane meñ
niile rañg meñ Duubī āñkheñ khulī paḌī thiiñ sabze par
aks paḌā thā āsmān kā shāyad is paimāne meñ
dabī huī hai zer-e-zamīñ ik dahshat guñg sadāoñ kī
bijlī sī kahīñ laraz rahī hai kisī chhupe tah-ḳhāne meñ
dil kuchh aur bhī sard huā hai shām-e-shahr kī raunaq se
kitnī ziyā be-sūd ga.ī shīshe ke lafz jalāne meñ
maiñ to 'munīr' ā.īne meñ ḳhud ko tak kar hairān huā
ye chehra kuchh aur tarah thā pahle kisī zamāne meñ
Top Urdushayar.com