mahfil-ārā the magar phir kam-numā hote ga.e
dekhte hī dekhte ham kyā se kyā hote ga.e
nā-shanāsī dahr kī tanhā hameñ kartī ga.ī
hote hote ham zamāne se judā hote ga.e
muntazir jaise the dar shahar-e-firāq-āsār ke
ik zarā dastak huī dar dam meñ vā hote ga.e
harf pardā-posh the izhār-e-dil ke baab meñ
harf jitne shahr meñ the harf-e-lā hote ga.e
vaqt kis tezī se guzrā roz-marra meñ 'munīr'
aaj kal hotā gayā aur din havā hote ga.e