din agar chaḌhtā udhar se maiñ idhar se jāgtā
husn saarā mashriqoñ kā saath mere jāgtā
maiñ agar miltā na us se is azal kī shaam meñ
ḳhvāb in dīvār-o-dar kā dil meñ kaise jāgtā
hai misāl-e-bād-e-gulshan jāgnā us shoḳh kā
rañg jaise duur kā rañgoñ ke pīchhe jāgtā
ab vo ghar baaqī nahīñ par kaash us ta.amīr se
ek shahr-e-ārzū āñkhoñ ke aage jāgtā
chāñd chaḌhtā dekhnā behad samundar par 'munīr'
dekhnā phir bahr ko us kī kashish se jāgtā