shahar parbat bahr-o-bar ko chhoḌtā jaatā huuñ maiñ
ik tamāshā ho rahā hai dekhtā jaatā huuñ maiñ
hosh uḌtā jā rahā hai garmī-e-raftār meñ
dekhtā jaatā huuñ maiñ aur bhūltā jaatā huuñ maiñ
abr hai aflāk par aur ik sarāsīma qamar
ek dasht-e-rā.egāñ meñ dauḌtā jaatā huuñ maiñ
huuñ makāñ meñ band jaise imtihāñ meñ aadmī
saḳhtī-e-dīvār-o-dar hai jheltā jaatā huuñ maiñ
nam hai mere sher se us chashm-e-sañg-ālūd meñ
ḳhvāb huuñ us chashm-e-tar meñ phailtā jaatā huuñ maiñ
shauq haiñ kuchh jin ke pīchhe chal rahā huuñ maiñ 'munīr'
rañj haiñ kuchh dil meñ mere khīñchtā jaatā huuñ maiñ