thake logoñ ko majbūrī meñ chalte dekh letā huuñ
maiñ bas kī khiḌkiyoñ se ye tamāshe dekh letā huuñ
kabhī dil meñ udāsī ho to un meñ jā nikaltā huuñ
purāne dostoñ ko chup se baiThe dekh letā huuñ
chhupāte haiñ bahut vo garmī-e-dil ko magar maiñ bhī
gul-e-ruḳh par uḌī rañgat ke chhīñTe dekh letā huuñ
khaḌā huuñ yuuñ kisī ḳhālī qile ke sehn-e-vīrāñ meñ
ki jaise maiñ zamīnoñ meñ dafīne dekh letā huuñ
'munīr' andāza-e-qār-e-fanā karnā ho jab mujh ko
kisī ūñchī jagah se jhuk ke nīche dekh letā huuñ