Muneer Niyazi

nil-e-falak ke ism mein naqsh-e-asir ke sabab

Muneer Niyazi

Hoshiarpur, Punjab, India

1923-2006
nīl-e-falak ke ism meñ naqsh-e-asīr ke sabab
hairat hai āb-o-ḳhāk meñ māh-e-munīr ke sabab
ban meñ alāhidgī sī hai us ke jamāl-e-sabz se
daa.im fazā firāq kī shajar-e-pīr ke sabab
vus.at-e-shahr-e-tañg-dil sarmā kī sub.h-e-sard meñ
jaagī hai Dar ke ḳhvāb se sūrat-e-faqīr ke sabab
sahn-e-makāñ meñ shal hai dast-e-duā-e-āgahī
dil meñ hai shauq-e-be-hisāb had kī lakīr ke sabab
zaḳhm-e-vajūd kī davā bas vahī āḳhirī sadā
zinda huuñ jis ke shauq meñ sabr-e-kabīr ke sabab
sehr hai maut meñ 'munīr' jaise hai sehr-e-ā.ina
saarī kashish hai chiiz meñ apnī nazīr ke sabab
Top Urdushayar.com