abhī mujhe ik dasht-e-sadā kī vīrānī se guzarnā hai
ek masāfat ḳhatm huī hai ek safar abhī karnā hai
girī huī dīvāroñ meñ jakḌe se hue darvāzoñ kī
ḳhākistar sī dahlīzoñ par sard havā ne Darnā hai
Dar jaanā hai dasht-o-jabal ne tanhā.ī kī haibat se
aadhī raat ko jab mahtāb ne tārīkī se ubharnā hai
ye to abhī āġhāz hai jaise is pinhā-e-hairat kā
aañkh ne aur sañvar jaanā hai rañg ne aur nikharnā hai
jaise zar kī pīlāhaT meñ mauj-e-ḳhūn utartī hai
zahr-e-zar ke tund nashe ne dīda-o-dil meñ utarnā hai