Muneer Niyazi

sare manzar ek jaise sari baaten ek si

Muneer Niyazi

Hoshiarpur, Punjab, India

1923-2006
saare manzar ek jaise saarī bāteñ ek sī
saare din haiñ ek se aur saarī rāteñ ek sī
be-natīja be-samar jañg-o-jadal suud o ziyāñ
saarī jīteñ ek jaisī saarī māteñ ek sī
sab mulāqātoñ kā maqsad kārobār-e-zar-garī
sab kī dahshat ek jaisī sab kī ghāteñ ek sī
ab kisī meñ agle vaqtoñ kī vafā baaqī nahīñ
sab qabīle ek haiñ ab saarī zāteñ ek sī
ek hī ruḳh kī asīrī ḳhvāb hai shahroñ kā ab
un ke mātam ek se un kī barāteñ ek sī
hoñ agar zer-e-zamīñ to fā.eda hone kā kyā
sañg o gauhar ek haiñ phir saarī dhāteñ ek sī
ai 'munīr' āzād ho is sehr-e-yak-rañgī se tū
ho ga.e sab zahr yaksāñ sab nabāteñ ek sī
Top Urdushayar.com