baiTh jaatā hai vo jab mahfil meñ aa ke sāmne
maiñ hī bas hotā huuñ us kī is adā ke sāmne
tez thī itnī ki saarā shahr suunā kar ga.ī
der tak baiThā rahā maiñ us havā ke sāmne
raat ik ujḌe makāñ par jā ke jab āvāz dī
guuñj uTThe bām-o-dar merī sadā ke sāmne
vo rañgīlā haath mere dil pe aur us kī mahak
sham-e-dil bujh sī ga.ī rañg-e-hinā ke sāmne
maiñ to us ko dekhte hī jaise patthar ho gayā
baat tak muñh se na niklī bevafā ke sāmne
yaad bhī haiñ ai 'munīr' us shaam kī tanhā.iyāñ
ek maidāñ ik daraḳht aur tū ḳhudā ke sāmne