Iqbal Safi Puri

har moD nai ek uljhan hai qadmon ka sambhalna mushkil hai

Iqbal Safi Puri

Safipur, Uttar pradesh, India

1916-1999
har moḌ na.ī ik uljhan hai qadmoñ kā sambhalnā mushkil hai
vo saath na deñ phir dhuup to kyā saa.e meñ bhī chalnā mushkil hai
yārān-e-safar haiñ tez-qadam ai kashmakash-e-dil kyā hogā
ruktā huuñ to bichhḌā jaatā huuñ chaltā huuñ to chalnā mushkil hai
ab ham pe khulā ye raaz chaman uljhā ke bahāroñ meñ dāman
kāñToñ se nikalnā āsāñ thā phūloñ se nikalnā mushkil hai
tābānī-e-husn-e-ālam hai garmi-e-mohabbat ke dam se
parvāne agar mahfil meñ na hoñ phir sham.a kā jalnā mushkil hai
nākāmi-e-qismat kyā shai hai kyā chiiz shikasta-pā.ī hai
do-gām pe manzil hai lekin do-gām bhī chalnā mushkil hai
yā ham se pareshāñ ḳhushbū thī yā band haiñ ab kaliyoñ kī tarah
yā misl-e-sabā āvāra the yā ghar se nikalnā mushkil hai
likhte rahe ḳhūn-e-dil se jise tā.īd-e-nigāh-e-dost meñ ham
'iqbāl' ab us afsāne kā unvān badalnā mushkil hai
Top Urdushayar.com