ik roz jo gulshan meñ vo jān-e-bahār aa.e
kaliyoñ pe shabāb aa.e phūloñ pe nikhār aa.e
nazroñ ke tasādum meñ thiiñ zabt kī tākīdeñ
kyā jaane samajh kar gayā ham dil ko bhī haar aa.e
ehsās-e-takabbur meñ had se na guzar jaa.eñ
shāyad isī matlab se phūloñ meñ bhī ḳhaar aa.e
tauba ke taqaddus kā qaa.il to huuñ maiñ lekin
paimāna baḌhā denā jab abr-e-bahār aa.e
achchhā huā 'hāmid' kā duniyā se guzar jaanā
ik bojh thā jo sar se ahbāb utaar aa.e