Iqbal Safi Puri

daman-e-dil hai tar tar apna

Iqbal Safi Puri

Safipur, Uttar pradesh, India

1916-1999
dāman-e-dil hai taar taar apnā
kaam kar hī ga.ī bahār apnā
jab se taskīn de gayā hai koī
aur bhī dil hai be-qarār apnā
dekh kar bhī unheñ na dekh sake
rah gayā shauq-e-intizār apnā
justujū aa ga.ī sar-e-manzil
rah gayā raah meñ ġhubār apnā
vo nazar phir ga.ī to kyā hogā
us nazar tak hai e'tibār apnā
is kī har jumbish-e-nazar ke saath
ruḳh badaltī ga.ī bahār apnā
har-nafas hai unhīñ kī yaad 'iqbāl'
ġham hai kaisā sadā-bahār apnā
Top Urdushayar.com