vo nigāhoñ ko jab badalte haiñ
dil sambhāle nahīñ sambhalte haiñ
manzileñ duur haiñ kabhī nazdīk
har qadam fāsle badalte haiñ
kaun jaane ki ik tabassum se
kitne mafhūm-e-ġham nikalte haiñ
na guzar itnī kaj-ravī se ki log
tere naqsh-e-qadam pe chalte haiñ
aag bhī un gharoñ ko lagtī hai
jin gharoñ meñ charāġh jalte haiñ
jab bhī uThtī hai vo nazar 'iqbāl'
sham.a kī tarah dil pighalte haiñ