Iqbal Safi Puri

guzar gai jo chaman par wo koi kya jaane

Iqbal Safi Puri

Safipur, Uttar pradesh, India

1916-1999
guzar ga.ī jo chaman par vo koī kyā jaane
jhaḌe hue haiñ bahār-o-ḳhizāñ ke afsāne
jahāñ pe chāk-e-garebāñ bhī chāk-e-dil ban jaa.e
guzar rahe haiñ ab un manziloñ se dīvāne
mire laboñ kā tabassum to sab ne dekh liyā
jo dil pe biit rahī hai vo koī kyā jaane
tire huzūr jinheñ kah sakī na goyā.ī
mire sukūt ne dohrā diye vo afsāne
nigāh-e-ishq meñ dair-o-haram kī qaid nahīñ
kahīñ bhī sham.a jale uḌ chaleñge parvāne
tamām vus.at-e-kaunain ko Dubo deñge
chhalak ga.e jo kahīñ us nazar ke paimāne
na ishtiyāq-e-nazāra na e'tibār-e-jamāl
Thahar ga.ī hai kahāñ zindagī ḳhudā jaane
na sham-e-bazm pe kuchh aañch aa.egī 'iqbāl'
ḳhud apnī aag meñ jalte raheñge parvāne
Top Urdushayar.com