kuchh to ḳhudī kā rañg hai kuchh be-ḳhudī kā rañg
donoñ kā imtizāj hai ye zindagī kā rañg
pesh-e-nigāh mere hazāroñ hī rañg the
dil ne kiyā pasand magar aap hī kā rañg
ye hai fareb-e-chashm ki ye dil kā vāhima
har gul meñ dekhtī huuñ gul-e-kāġhzī kā rañg
us ko bhulā.e garche zamāna guzar gayā
aatā hai yaad aaj bhī mujh ko usī kā rañg
rañgīñ hai jis ke dam se mirī kā.enāt-e-dil
vo hai jamāl-e-yār kī tābindagī kā rañg
aaheñ bharegā kab koī phūloñ ko dekh kar
aa.egā kab kisī meñ bhalā dilbarī kā rañg
is meñ hai rañg tere ruḳh-e-be-misāl kā
sab se judā ho kyuuñ na mirī shā.irī kā rañg