Minu Bakshi

tere hi gham se meri tabiat bahal gai

Minu Bakshi

Delhi, India

1955
tere hī ġham se merī tabī.at bahal ga.ī
tū yaad aa gayā to mirī jaañ sambhal ga.ī
ab yaad hai kahāñ mujhe maazī kī dāstāñ
maiñ tujh se kyā milī mirī duniyā badal ga.ī
jo mere gesuoñ kā giraftār to huā
maiñ bhī to tere ishq ke sāñche meñ Dhal ga.ī
raushan sī ho ga.ī hai mire dil kī kā.enāt
jo terī ārzuoñ kī ik sham.a jal ga.ī
dāman ḳhayāl-e-yār kā dast-e-talab meñ hai
ġham meñ bhī zinda rahne kī sūrat nikal ga.ī
jab se ye shahr chhoḌ ke koī chalā gayā
sach kah rahī huuñ raunaq-e-shām-e-ġhazal ga.ī
Top Urdushayar.com