terā armāñ tirī hasrat ke sivā kuchh bhī nahīñ
dil meñ ab terī mohabbat ke sivā kuchh bhī nahīñ
zindagī mujh ko kahāñ le ke chalī aa.ī hai
duur tak sāya-e-zulmat ke sivā kuchh bhī nahīñ
har taraf phuul haqīqat ke khile haiñ lekin
aañkh meñ ḳhvāb-e-haqīqat ke sivā kuchh bhī nahīñ
yuuñ tire ġham meñ huuñ pāmāl ki lagtā hai mujhe
zindagī jaise aziyyat ke sivā kuchh bhī nahīñ
rah ga.ī dab ke mire dil hī meñ ummīd-e-visāl
ab malāl-e-shab-e-furqat ke sivā kuchh bhī nahīñ
baat kyā hai ki mire dostoñ ke hāthoñ meñ
sañg-e-dushnām-o-malāmat ke sivā kuchh bhī nahīñ
sher kahte ho to ye baat bhī nazroñ meñ rahe
shā.irī sharh-e-tabī.at ke sivā kuchh bhī nahīñ