aaj to din bhar tirī tasvīr ham dekhā kiye
ya.anī apne ḳhvāb kī ta.abīr ham dekhā kiye
ham ne dekhā hī nahīñ āñkheñ uThā kar samt-e-gul
apne dil kā zaḳhm dāman-gīr ham dekhā kiye
ishq-e-avval kī shab-e-dījūr meñ ai zindagī
zulf terī yā koī zanjīr ham dekhā kiye
aaj ham dekhā kiye chashm-e-sitam-gar ko ḳhajil
aaj apnī aah kī tāsīr ham dekhā kiye
ham ne to dekhā nahīñ apnī razā se kuchh yahāñ
jo bhī dikhlātī rahī taqdīr ham dekhā kiye