aa.iye aaj aap se kuchh raaz kī bāteñ kareñ
us hasīñ us kī nigāh-e-nāz kī bāteñ kareñ
vo ki jis ne muskurā ke kah diyā thā hāl-e-dil
us tabassum us hasīñ andāz kī bāteñ kareñ
thā vo bachpan yā javānī jab sunā thā nām-e-ishq
aaj phir un ajnabī alfāz kī bāteñ kareñ
yaad hai ab tak hameñ sahmā sā vo iz.hār-e-ishq
band āñkheñ kāñptī āvāz kī bāteñ kareñ
thak ga.e duniyā kī ḳhātir ḳhud ko de de kar fareb
aaj phir apne dil-e-nā-sāz kī bāteñ kareñ
hai bahut māyūs ye dil dekh kar anjām-e-ishq
phir bhī ham ai ham-nashīñ āġhāz kī bāteñ kareñ
hijr kī rut sahn-e-jism-o-jāñ se ruḳhsat ho ga.ī
ḳhushnumā mausam hai ab ham raaz kī bāteñ kareñ