Mumtaz Naseem

jise maine subh samajh liya kahin ye bhi sham-e-alam na ho

Mumtaz Naseem

jise maiñ ne sub.h samajh liyā kahīñ ye bhī shām-e-alam na ho
mire sar kī aap ne khaa.ī jo kahīñ ye bhī jhūTī qasam na ho
vo jo muskurā.e haiñ be-sabab ye karam bhī un kā sitam na ho
maiñ ne pyaar jis ko samajh liyā kahīñ ye bhī merā bharam na ho
tū jo hasb-e-va.ada na aa sakā to bahānā aisā nayā banā
ki tirā vaqār bhī kam na ho mirā e.atibār bhī kam na ho
jise dekh kar maiñ ThiThak ga.ī use aur ġhaur se dekh luuñ
ye chamak rahā hai jo aa.ina kahīñ terā naqsh-e-qadam na ho
mire muñh se niklā ye barmalā tujhe shaad kāmrāñ rakhe ḳhudā
tū payām laayā hai yaar kā tirī umr ḳhizr se kam na ho
Top Urdushayar.com