Mumtaz Naseem

chalte chalte ye haalat hui rah mein bin piye mai-kashi ka maza aa gaya

Mumtaz Naseem

chalte chalte ye hālat huī raah meñ bin piye mai-kashī kā mazā aa gayā
paas koī nahīñ thā magar yuuñ lagā koī dil se mire aa ke Takrā gayā
aaj pahle-pahal tajraba ye huā iid hotī hai aisī ḳhabar hī na thī
chāñd ko dekhne ghar se jab maiñ chalī dūsrā chāñd mere qarīb aa gayā
ai havā-e-chaman mujh pe ehsāñ na kar nik.hat-e-gul kī mujh ko zarūrat nahīñ
ishq kī raah meñ pyaar ke itr se mere saare badan ko vo mahkā gayā
hijr kā mere dil meñ añdherā kiye vo jo pardes meñ thā baserā kiye
jis ke aane kā koī gumāñ bhī na thā daf.atan mujh ko aa ke vo chauñkā gayā
rañg 'mumtāz' chehre kā aisā khilā zindagī meñ nayā hādisa ho gayā
aa.ina aur maiñ donoñ hairān the maiñ bhī sharmā ga.ī vo bhī sharmā gayā
Top Urdushayar.com