Minu Bakshi

uTha shoala sa qalb-e-na-tawan se

Minu Bakshi

Delhi, India

1955
uThā sho.ala sā qalb-e-nā-tavāñ se
havā aa.ī kabhī jo shahr-e-jāñ se
hamārī samt bhī chashm-e-ināyat
tirī ḳhātir bane haiñ nīm-jāñ se
shikāyat us se hai jis par fidā huuñ
mujhe shikva nahīñ saare jahāñ se
nigāhoñ se adā karte ho matlab
kahāñ kahte ho kuchh apnī zabāñ se
tumhīñ the yā vo parchhā.īñ tumhārī
abhī bijlī sī jo guzrī yahāñ se
koī saanī nahīñ us kā jahāñ meñ
mujhe nisbat hai jis sarv-e-ravāñ se
musībat-āshnā yuuñ hī nahīñ maiñ
judā maiñ bhī huī huuñ kārvāñ se
udāsī kis liye phailī huī hai
uThā hai kaun āḳhir darmiyāñ se
idhar aa āshnā-e-rāz-e-fitrat
sadā aatī hai dasht-e-be-karāñ se
Top Urdushayar.com