Mumtaz Naseem

meri zindagi ki kitab ka hai waraq waraq yun saja hua

Mumtaz Naseem

mirī zindagī kī kitāb kā hai varaq varaq yuuñ sajā huā
sar-e-ibtidā sar-e-intihā tirā naam dil pe likhā huā
ye chamak-damak to fareb hai mujhe dekh gahrī nigāh se
hai libās merā sajā huā mirā dil magar hai bujhā huā
mirī aañkh terī talāsh meñ yuuñ bhaTaktī rahtī hai rāt-din
jaise jañgaloñ meñ hiran koī ho shikāriyoñ meñ ghirā huā
tirī dūriyāñ tirī qurbateñ tirā lams terī rifāqateñ
mujhe ab bhī vaj.h-e-sukūñ to hai tū hai duur mujh se to kyā huā
ye gile kī baat to hai magar mujhe us se koī gila nahīñ
jo ujaḌ gayā mirā ghar to kyā hai tumhārā ghar to bachā havā
Top Urdushayar.com