Mumtaz Naseem

tujhe kaise ilm na ho saka baDi dur tak ye KHabar gai

Mumtaz Naseem

tujhe kaise ilm na ho sakā baḌī duur tak ye ḳhabar ga.ī
tire shahr hī kī ye shā.era tire intizār meñ mar ga.ī
koī bāteñ thiiñ koī thā sabab jo maiñ va.ada kar ke mukar ga.ī
tire pyaar par to yaqīn thā maiñ ḳhud apne aap se Dar ga.ī
vo tire mizāj kī baat thī ye mire mizāj kī baat hai
tū mirī nazar se na gir sakā maiñ tirī nazar se utar ga.ī
hai ḳhudā gavāh tire binā mirī zindagī to na kaT sakī
mujhe ye batā ki mire binā tirī umr kaise guzar ga.ī
vo safar ko apne tamām kar, ga.ī raat ā.eñge lauT kar
ye 'nasīm' maiñ ne sunī ḳhabar to maiñ shaam hī se sañvar ga.ī
Top Urdushayar.com