rañg se rāsta sūrat se patā letā huuñ
aur bichhḌe hue ik ishq ko jā letā huuñ
ab to ye tujh se bhī bāvar nahīñ hone vaalā
merā qissa hai so ḳhud ko hī sunā letā huuñ
ik ziyārat ke sivā yaar kī qurbat ke sivā
aur ai arz-o-samā tum se maiñ kyā letā huuñ
ritl-e-ishq apnī taraf se to uThāyā huā hai
lā ise terī taraf se bhī uThā letā huuñ