Syed Kashif Raza

wo sair-e-gul ke waste aa hi nahin raha

Syed Kashif Raza

1973
vo sair-e-gul ke vāste aa hī nahīñ rahā
so ab vo lutf-e-āb-o-havā hī nahīñ rahā
shāyad ukhaḌ gayā tirī yādoñ se rañg-e-lams
hāthoñ ko tere shauq-e-hinā hī nahīñ rahā
kyuuñ kāTtī nahīñ hai mirā dard mauj-e-mai
kyā ai sharāb tujh meñ nasha hī nahīñ rahā
le kar to aa ga.e ho shikāyat kā tum javāb
par ab to tum se koī gila hī nahīñ rahā
maiñ kitnī kitnī der manātā rahā use
rūThā huuñ aaj to vo manā hī nahīñ rahā
kyā us ko maiñ vafā ke taqāze batā.ūñ ab
jab vo vafā kā ahd nibhā hī nahīñ rahā
kuchh roz se udaas hai dil aur bahut udaas
aur kyuuñ udaas hai ye batā hī nahīñ rahā
Top Urdushayar.com