bahut se dard the par ḳhud ko joḌ kar rakkhā
vo maiñ ki ātish o aahan meñ jis ne sar rakkhā
maiñ vo huuñ jis ne ta.āqub meñ apne maut rakhī
aur apne sar ko sadā us kī maar par rakkhā
nashāt o fat.h mirī dastaras meñ the lekin
kitāb-e-umr meñ dukh-dard besh-tar rakkhā
mile hue the mujhe chāhatoñ ke dar kitne
magar maiñ vo ki havāoñ pe mustaqar rakkhā
bahut se log mire vāste the dast-kushā
magar nazar meñ tirā hī dayār-o-dar rakkhā
kabhī huī hī nahīñ mujh ko be-gharī mahsūs
ḳhud apne paañv pe jab se hai apnā ghar rakkhā
gavāh haiñ mire misroñ ke bast-o-dar 'kāshif'
chunā jo harf use kar ke bārvar rakkhā