isī ḳhayāl se dil kī rafū-garī nahīñ kī
vo jis ne zaḳhm diyā us ne maryamī nahīñ kī
tirā vajūd sarāsar hai multafit to phir
tire gurez ne kyuuñ ab talak kamī nahīñ kī
huā paḌā hai yūñhī kalba-e-nazar tārīk
ki aaj us ke sarāpā ne raushnī nahīñ kī
kahāniyoñ meñ hī milte haiñ kuchh nishāñ mere
guzār dī hai jo maiñ ne vo zindagī nahīñ kī