faqat qayām kā matlab guzar-basar koī hai
maiñ rah rahā huuñ jahāñ par, vo merā ghar koī hai
javān lau pe na jaa, nau-damīda zau pe na jā
charāġh-e-va.ada hai, jaltā ye umr bhar koī hai
vo paas baiTh bhī jaa.e to kyā kahūñ us se
jo dāstān sunānī hai, muḳhtasar koī hai
kahīñ se shauq-e-tamāshā meñ aa gayā hogā
jo dil ko dekhne aayā hai, chāra-gar koī hai
jo kaT rahī hai tirī chashm-e-be-nihāyat meñ
rah-e-hayāt hai sārī, rah-e-safar koī hai