rah-e-ishq-o-vafā hai aur maiñ huuñ
ye terā naqsh-e-pā hai aur maiñ huuñ
nigāhoñ meñ hai zanjīr-e-mohabbat
tirī zulf-e-dotā hai aur maiñ huuñ
shab-e-āḳhir fazā-e-dil meñ phailī
ḳhamoshī kī ridā hai aur maiñ huuñ
yahī hai muḳhtasar sī apnī duniyā
ye merā aa.ina hai aur maiñ huuñ
vahī hai hijr kī rut kī udāsī
vahī qātil havā hai aur maiñ huuñ
nazar meñ hai koī ḳhūñ-rez manzar
koī zaḳhmī sadā hai aur maiñ huuñ
ḳhudā hī jaane hone vaalā kyā hai
tirī qātil adā hai aur maiñ huuñ
mujhe kyā lenā denā hai jahāñ se
ḳhayāl-e-dil-rubā hai aur maiñ huuñ
vahī hai bādiya-paimā.ī apnī
vahī āb-o-havā hai aur maiñ huuñ