Syed Kashif Raza

dikhai deti hai jo shakl wo bani hi na ho

Syed Kashif Raza

1973
dikhā.ī detī hai jo shakl vo banī hī na ho
ajab nahīñ ki kahānī kahī ga.ī hī na ho
jo kho chukā hai vahī ab ho merā sarmāya
jo mil gayā hai mujhe vo mirī kamī hī na ho
likhā hī rah na gayā ho kahīñ mirā qissa
guzār dī hai jo vo merī zindagī hī na ho
hai kaun jis kī ho tahrīr is qadar saffāk
ye zindagī mirī apnī likhī huī hī na ho
dikhā.ī detā bhī hai ik tilism aur agar
maiñ jis meñ dekh rahā huuñ vo raushnī hī na ho
vahāñ se ḳhvāb koī aur le uḌā ho use
mirī nigāh tirī aañkh meñ rukī hī na ho
ḳhudā-e-dahr mirā hī shu.ūr hai 'kāshif'
to kā.enāt kī sāzish kahīñ mirī hī na ho
Top Urdushayar.com