pul-e-sirāt na thā dasht-e-nainavā bhī na thā
tumhārā hijr magar ham se kaT rahā bhī na thā
na-jāne kyuuñ tumheñ ik ik ḳharāsh jāntī thī
har ek zaḳhm tumhārā diyā huā bhī na thā
bañdhe hue the ka.ī ahd gar karo mahsūs
karo jo yaad to va.ada koī huā bhī na thā
duā salām to rakhnī thī tere kūche se
vagarna tujh se to milne ko dil kiyā bhī na thā
maiñ ab bhī un ujḌī huī bastiyoñ ko rotā huuñ
jahāñ pe koī Thikāne kā āshnā bhī na thā