badan ko vajd tire be-hisāb-o-had aa.e
mirī rasā.ī meñ gar terā jazr-o-mad aa.e
maiñ ik daf.a tujhe chūmūñ to tere ḳhvāboñ meñ
kisī bhī mard kā chehrā na tā-abad aa.e
maiñ teġh-e-ishq se gar tol duuñ badan terā
tirī nazar meñ na mīzān-e-nek-o-bad aa.e
jo tere ḳhvāb meñ aa jaa.e barshgāl mirā
mire liye na tire lab pe radd-o-kad aa.e
har ek saal manā.ūñ maiñ jashn-e-lams us kā
jo dastaras meñ mirī vo darāz-qad aa.e
bahut sajegī ye poshāk-e-harf ai 'kāshif'
jo shā.erī meñ mirī us ke ḳhāl-o-ḳhad aa.e