Syed Kashif Raza

har ek chiz mayassar siwae bosa hai

Syed Kashif Raza

1973
har ek chiiz mayassar sivā.e bosa hai
aur apne ġham kā sabab iltavā-e-bosa hai
bhale to lagte haiñ inkār-e-bosa par bhī ye hoñT
kabhī to ye kaho ''ye lab barā.e bosa'' hai
mire qarīb se hoñToñ ko mat guzār itnā
ki chal rahī mire sar meñ havā-e-bosa hai
chhupāyā kar nahīñ hoñToñ ko muskurāte hue
ye jā-e-sharm nahīñ hai ye jā-e-bosa hai
lab-e-ḳhamosh pe bhī hai mire hī kaam kā harf
mirī murād ye bhī hai jo pā-e-bosa hai
samajh meñ kuchh nahīñ aatā ki boltī ho kyā
laboñ pe kheltī phirtī nidā-e-bosa hai
yahī na chhoḌ ke jā tishna-kām hoñToñ par
ki ye to bosa-e-sahv-e-qazā-e-bosa hai
tumhārī ḳhush-dahnī se hai asl meñ sarokār
ye lab kā bosa to bas ibtidā-e-bosa hai
bas ek bosa-e-sub.h aur ek bosa-e-shām!
faqīr-e-bosa huuñ aur iltijā-e-bosa hai
labān-e-bosa-chashīda bhī ḳhuub haiñ lekin
nigah meñ ek but-e-nāḳhudā-e-bosa hai
Top Urdushayar.com