is qadar ġhaur se dekhā hai sarāpā us kā
yaad aatā hī nahīñ ab mujhe chehrā us kā
us pe bas aise hī ghabrā.ī huī phirtī thī
aañkh se husn simaTtā hī nahīñ thā us kā
sat.h-e-ehsās pe Thahrā nahīñ sakte jis ko
ek ik ḳhat meñ tavāzun hai kuchh aisā us kā
apne hāthoñ se kamī mujh pe na rakkhī us ne
merī to lauh-e-muqaddar bhī hai likkhā us kā
maiñ ne sāhil pe bichhā dī hai saf-e-mātam-e-hijr
lahr koī to miTā degī fasāna us kā
vasl aur hijr ke mā-bain khaḌā huuñ 'kāshif'
tai na ho paayā ta.alluq kabhī merā us kā