nigah kī sho.ala-fazā.ī ko kam hai diid us kī
charāġh chāhtā hai lau zarā mazīd us kī
darūn-e-dil kisī zaḳhm-e-dahan-kushā kī tarah
bahut dinoñ se talab hai baḌī shadīd us kī
milā to hai koī bint-e-inab sā lab lekin
hamāre shahr meñ mamnua hai kashīd is kī
ab us kā haq hai bahisht-e-badan pe jā uThnā
nigah hui hai rah-e-dīd par shahīd us kī
maiñ sar-ba-ḳhāk huuñ taaki vo surḳh-rū ho jaa.e
bapā jo mātam-e-dil ho to phir ho iid us kī