Minu Bakshi

but ki manind na apne ko banae rakhna

Minu Bakshi

Delhi, India

1955
but kī mānind na apne ko banā.e rakhnā
jis jagah rahnā vahāñ dhuum machā.e rakhnā
ḳhud ko dariyā meñ na qatroñ sā milā.e rakhnā
munfarid hone kā ehsās dilā.e rakhnā
kaam farzāna-e-duniyā kā nahīñ ai nāseh
parcham-e-ishq zamāne meñ uThā.e rakhnā
chashm-e-maḳhlūq hai mīzān-e-razā-e-maulā
chashm-e-maḳhlūq meñ ḳhud ko na girā.e rakhnā
tujh ko denā ho agar zulmat-e-hijrāñ ko shikast
sham.a bujh jaa.e magar dil na bujhā.e rakhnā
qalb-e-ḳhuddār kī ḳhātir to hai zillat kā sabab
lau sadā us but-e-kāfir se lagā.e rakhnā
jis se miltī ho har ik lahza ġhazal kī ḳhushbū
sehn-e-ehsās meñ vo phuul khilā.e rakhnā
mere dil ko to kisī haal meñ manzūr nahīñ
fikr-e-duniyā meñ tirī yaad bhulā.e rakhnā
Top Urdushayar.com