Hamid Allahabadi

fareb de na kahin azm-e-mustaqil mera

Hamid Allahabadi

fareb de na kahīñ azm-e-mustaqil merā
hujūm-e-yās se ghabrā na jaa.e dil merā
ye kis maqām pe pahuñchā diyā mohabbat ne
ki mere bas meñ nahīñ hai ḳhud aaj dil merā
mubārak aish kā māhaul ḳhush-nasīboñ ko
bahut hai mere liye dard-e-mustaqil merā
sun ai nigāh-e-mohabbat se rūThne vaale
tire ḳhayāl meñ gum hai sukūn-e-dil merā
mire gunāhoñ kā anjām sochne vaale
ye dekh kahtā hai kyā ashk-e-munfa.il merā
do-chār tinkoñ kī duniyā ajiib duniyā thī
ki mutma.in thā har ik tarah jis meñ dil merā
ummīd-e-lutf kisī aur se ho kyā 'hāmid'
huā na jab ki mohabbat meñ merā dil merā
Top Urdushayar.com