Minu Bakshi

baiThe baiThe jo tabiat meri ghabrai hai

Minu Bakshi

Delhi, India

1955
baiThe baiThe jo tabī.at mirī ghabrā.ī hai
aur shiddat se mujhe yaad tirī aa.ī hai
is se bichhḌuñgī to zinda nahīñ rah pā.ūñgī
merī mūnis mirī hamrāz ye tanhā.ī hai
justujū ab hai masarrat kī na to ġham kī talāsh
be-hisī mujh ko kahāñ le ke chalī aa.ī hai
Duub kar un meñ na ubhrā hai na ubhregā koī
jhiil sī āñkhoñ meñ pātāl sī gahrā.ī hai
mujh meñ har samt ziyā-bār haiñ un kī yādeñ
chāñdnī aaj mire dil meñ utar aa.ī hai
mujh se vo raah meñ katrā ke nikal jaane lage
maiñ ne bhī un se na milne kī qasam khaa.ī hai
shab-e-afsāna munavvar hai na ab shām-e-ġhazal
anjuman hai na kahīñ anjuman-ārā.ī hai
Top Urdushayar.com