ga.e dinoñ kī musāfirat kā ba-yak-qalam ishtihār likhnā
mire pasīne kā pyaar likhnā lahū kā apne qarār likhnā
ajab hai kyā merī samt aa kar tamām patthar mahak uTheñge
tumhāre atrāf kis qadar hai mire ḳhatoñ kā hisār likhnā
dalīl chāhe agar qalam merī tarah āñkhoñ ko muuñd lenā
tamām andhī nigāh vāloñ ko be-jhijak shab-guzār likhnā
hinā ko tarse hue kaf-e-pā kā jaal Tuk ruk ke pūchh lenā
kahāñ talak ābdāriyoñ meñ hai surḳh sabze kī dhaar likhnā
ukhaḌ ke dahlīz dar kī chaukhaT se kitnī duur pe jā paḌī hai
hai kitnī shiddat se un rutoñ meñ tumheñ merā intizār likhnā
maiñ jāntā huuñ khaTak rahī hai tumheñ mirī muntashir dimāġhī
bhare-pure shahr meñ utar kar mirā mujhe be-dayār likhnā