taal socheñ na samundar socheñ
sirf ik mauj-e-munavvar socheñ
shor bāzār se haT kar baiTheñ
apne andar jo hai mahshar socheñ
pas-e-dar nikle hiqārat ki pasand
dastakeñ dī haiñ to kyuuñ kar socheñ
ham bhī sākit haiñ jumūd un par bhī
ḳhud ko but samjheñ ki aazar socheñ
ham kahāñ aur kahāñ chor-qadam
shah koī paa.eñ to khul kar socheñ
ḳhuub hai ye bhī vatīra 'ejāz'
ḳhushk zehnoñ meñ raheñ tar socheñ