āñkhoñ meñ zindagī ke tamāshe uchhāl kar
ai ġhurbat-e-nigāh na itne savāl kar
rahne de āsmān ko ik parda-e-ḳhayāl
lekin zamīñ ko sāya-e-jannat bahāl kar
koī talab nahīñ hai tirī bārgāh se
ham be-ḳhayāl aa.e haiñ itnā ḳhayāl kar
ārām-e-jāñ haiñ ham ko yahī sarsarāhaTeñ
pachhtāne vaale ham nahīñ sāñpoñ ko paal kar
aa rakh de haath sīna-e-ātish-mizāj par
kab tak rakheñge terī amānat sambhāl kar
vo be-zabāñ ġharīb na khā jaa.e koī tiir
be-chain ho gayā huuñ kabūtar uchhāl kar
'ejāz' ab ke surḳh gulāboñ se kaam le
teshe kī aas chhoḌ de patthar ko la.al kar