ajiib log haiñ kyā shai kahāñ se māñgte haiñ
yaqīñ kā ajr jahān-e-gumāñ se māñgte haiñ
ye zalzale to tabāhī se kam pe raazī nahīñ
so ye ḳhirāj zamān-o-makāñ se māñgte haiñ
jahāñ se miltā hai us samt dekhte hī nahīñ
kabhī fulāñ kabhī ibn-e-fulāñ se māñgte haiñ
ye kaun le gayā chun chun ke shāḳh-e-gul kī ḳhushī
kahāñ vo phuul jo ham gulsitāñ se māñgte haiñ
ai jugnuo ḳhas-o-ḳhāshāk se nikal aao
ye log nuur shab-e-be-karāñ se māñgte haiñ
zabān sach kā maza lenā chāhtī hai magar
panāh sab usī bār-e-garāñ se māñgte haiñ
unheñ hai jaḌnā zamīñ ke libās meñ 'maqsūd'
chalo sitāre had-e-āsmāñ se māñgte haiñ