makr-o-ayyārī kā dāman chhoḌ de
aql se ġhairat kā rishta joḌ de
zarf hai to moḌ le kuchh paañv aur
chhoTī chādar kī shikāyat chhoḌ de
jag-hañsā.ī ho na jaa.e phir kahīñ
be-sabab auroñ pe hañsnā chhoḌ de
zulm ko bardāsht karnā jurm hai
zālimāna fe.al kā dam toḌ de
dil ke donoñ harf hote haiñ judā
ho sake to TuuTe dil ko joḌ de
zehn ko shaffāf dil ko paak rakh
ā.inoñ se tū ulajhnā chhoḌ de
manzil-e-maqsūd paane ke liye
zindagī ko ik nayā sā moḌ de