Maqsood Anwar Maqsood

kabhi ojhal kabhi pesh-e-nazar hai

Maqsood Anwar Maqsood

Jamshedpur, Jharkhand, India

1970
kabhī ojhal kabhī pesh-e-nazar hai
mohabbat meñ sharārat kā asar hai
lachak jā.egī shāḳh-e-gul kahāñ par
nazākat se vo apnī be-ḳhabar hai
adā.eñ dil pe dastak de rahī haiñ
mohabbat guftugū se bālā-tar hai
unheñ haq hai vo mujh se ruuTh jaa.eñ
magar dil meñ raheñ ye un kā ghar hai
ḳhayāloñ meñ rahā kartā hai har dam
bichhaḌ kar bhī vo merā ham-safar hai
agar mumkin ho ḳhushbūoñ se bhar do
kahānī zindagī kī muḳhtasar hai
jhukā.egī use kyā ḳhaak duniyā
ḳhudā ke sāmne jhuktā jo sar hai
milegī manzil-e-'maqsūd' ik din
abhī shādāb ḳhvāhish kā shajar hai
Top Urdushayar.com